Posts

Hayaat shayari | हयात शायरी

गुज़र रही ग़ुमनाम सी तन्हाई मे क्या बताएं हालात ए हयात क्या है कभी जो देख कर भर लेते थे बाहों मे आज दूर से पूछ रहे हैं बात क्या है हयात - जिंदगी ........  Gujar rahi gumnaam sir tanhaai me Kya batayein halaat e hayaat kya hai Kabhi jo dekh kar bhar lete the bahon me Aaj door se puchh rhe hain baat kya hai

Intezaar e Ishq shayari | इंतज़ार ए इश्क़ शायरी

Image
Haasil nhi sukoon e dil kahin Shaame khali hai gardishon bhari shab hai Muddat se chal rha intezar e ishq Koi bataaye aagaaj e ishq kab hai

Barish shayari | बारिश शायरी | बरसात शायरी|barsaat shayari

चलने लगी है हवाएँ बेतहाशा आजकल आंधियों का आना रोज का काम हो गया तुम थे तो बरसती थी तरसा तरसा कर तुम नहीं हो तो बारिश का आना आम हो गया  ...... Chalne lagi hai hawayein betahasha aajkal Aandhiyon ka aana roj ka kaam ho gya Tum the to barsati thi tarsa tarsa kar Tum nahi ho to barish ka aana aam ho gaya

माँ शायरी | shayari on mother| mothers day shayari| maa shayari

टूट के गिरता हूँ फिर संभल जाता हूं उसे देख कर जाँ में जाँ आती है भूल जाता हूं ग़म ज़माने भर के मुस्कुराते हुए सामने जब माँ आती है ........ Toot ke girta hun f ir sambhal jata hun Use dekh kar jaan me jaan aati hai Bhool jata hun gham jamane bhar ke M uskuraate huye saamne jab maa aati hai

तारीफ शायरी, tareef shayari | uff ye labon ki laali|उफ़ ये लबों की लाली

Image
Uff ye labon ki laali Tauba ye tabassum ka qeher . . Julfon me chhipa shab ka dariya Aankho me hai noor e seher

तस्वीर हो मुखातिब तो बात बन जाये| तस्वीर शायरी, tasveer shayari|mulaqaat shayari

Image
खाली है दिल खयालों मे तेरी आहट तुम रूबरू हो तो मुलाक़ात बन जाये मैं लफ़्ज़ों में ढूंढता हूँ तारीफ का जरिया तस्वीर हो मुखातिब तो बात बन जाये ...... Khali hai dil khayaalon me teri aahat Tum rubroo ho to mulaqaat ban jaaye . . Main lafzon me dhundta hun tarif ka jariya Tasveer ho mukhatib to baat ban jaaye

तेरी मोहब्बत का मैं कर्जदार पहले भी था अब भी हूँ , teri mohabbat ka main karjdaar phle bhi tha ab bhi hun| aashnaai shayari,sad shayari

तेरी मोहब्बत का मैं कर्जदार पहले भी था अब भी हूँ किया जो इश्क़ तुझसे करके उस गुनाह का गुनहगार पहले भी था अब भी हूँ मैं अब भी लरज़ जाता हूँ मुश्किल से सम्भल पाता हूँ आबाद था तेरी आशनाई से तेरी बेरुखी से बरबाद पहले भी था अब भी हूँ ना लिखा कहीं ख़ता क्या रही ना बात कुछ पता क्या रही अधूरी जो रह गई कहानी उस कहानी का किरदार पहले भी था अब भी हूँ तेरी मोहब्बत का मैं तलबगार पहले भी था अब भी हूँ आशनाई- दोस्ती, प्रेम ....... Teri mohabbat ka main karjdaar Phle bhi tha ab bhi hun Kiya jo ishq tujhse karke Us gunah ka gunahgaar Phle bhi tha ab bhi hun Main ab bhi laraz jata hun Muskil se sambhal pata hun Aabaad tha teri aashnaai se Teri berukhi se barbaad Phle bhi tha ab bhi hun Na likha kahin khata kya rahi Na baat kuch pata kya rahi Adhuri jo rah gai kahani Us kahani ka kirdaar Phle bhi tha ab bhi hun Teri mohabbat ka main talabgaar Phle bhi tha ab bhi hun Copyright©merishayri2020sunilsharma, all rights reserved