Posts

Maa shayari | mother's Day shayari| shayari for mother

Image
Meri ik aah par cheekh padti hai Utha leti sar par sara jahan hai Chhipa ke rakh leti hai dard apna Mere har marz ki dawa meri maa hai

Maa shayari | mother's Day shayari| shayari for mother

Image
Sab kuch hai mayassar jamane me yun to Maa bina kuch nhin, maa mera sab hai Uski duaon se duniya meri roshan Maa se hai khushiyan meri, maa mera rab hai

Baarish shayari | बारिश शायरी

Image
Lagi hai aag dil mein, bhadki koi chingaari hai Baadlon ki hai saazish, ya bundon ki tarafdaari hai Bheega hai sahar saara, jal raha dil magar Mausam haseen hai aur baarish ka daur jaari hai

Barish shayari | बारिश शायरी

Image
Mumkin hai ki aayega rooh ko sukun ab Jazbaaton me bheeg jaane ki gujarish aai hai Kar degi tar batar dil ke har ik kone ko Bahut dino bad mere sahar me barish aai hai

कहीं रोग जल रहें हैं | kahin rog jal rhe hain

Image
Kahin deeye jal rhe hain Kahin log jal rahe hain Kahin jal rhi ranjishein Kahin rog jal rhe hain

मर्ज शायरी, दहशत शायरी, वहशत शायरी | marj shayari, dahshat shayari, vahshat shayari

Image
मर्ज तेरे इश्क़ का भी था जानलेवा मगर मंजर हसीन था इस कदर वहशत नहीं थी  आई थी क़यामत भी दौर ए इश्क़ कई दफ़ा  खौफ़ क़ुर्बत से नहीं था दिल मे दहशत नहीं थी  मर्ज - रोग वहशत - पागलपन, उज्जडपन क़यामत - प्रलय, doomsday क़ुर्बत - नजदीकी Marj tere ishq ka bhi tha janleva magar Manjar haseen tha is kadar vahshat nhin thi Aai thi qayamat bhi daur e ishq kai dafa Khauff qurbat se nahi  tha dil me dahshat nhin thi

Aab o hawa shayari, आब ओ हवा शायरी

Image
बाद ए सबा - winds of morning मयस्सर -  available . .  Ajnabi hai is sheher ki aab o hawa Mere chaahne wale shayad kahin or rhte hai Yahan sukun hai baad e saba bhi hai mayassar Dil ko jalaane wale shayad kahin or rahte hai